• Profile picture of Tarannum khan

    Tarannum khan

    3 years ago

    Punjab me kitne district ya jile hai? Dosto agar aap hamare desh ke – ek pramukh rajya Punjab ke baare me kuchh gyan badana chahtey hai.

    To aap bilkul sahi jagah pe hai. Aaj hum yeh jankari de rahe hai ki Punjab me kul kitne district ( jile) hai?

    Aur Punjab ka sabse chhota jila, sabse bade jile wa unke bare me kai rochak janakari hindi me janane ke liye is article ko poora padhe.

    Aur Punjab shabd do farsi shabdo, panj (“panch”) aur aab (“pani”) ka mel hai, is prakar panch jal, ya panch nadiyo (vyaas, chinaab, jhelam, ravi aur satalaj) ki bhumi ko darshata hai.

    Dosto Punjab district bharat ka ek prasiddh rajya hai jo desh ke uttar-paschimi chhor par sthit hai. Chandigarh shehar Punjab aur Haryana ki sanyukt prashasnik rajdhani hai.

    Punjab rajya ki sthapana 1-november-1966 ko hui thi. Dosto Punjab ka sabase bada shahar ludhiyaana hai.

    Punjab ka kul kshetrafal 50,362 varg km hai jisme 47,847.40 km² gramin kshetra aur 2,514.60 km² shahari kshetr shamil hai. Dosto Punjab ki aabadi 2,77,43,338 hai

    tatha Punjab district mein Punjabi yaha ki raj bhasha hai, jo bahusankhyak aabadi dvara boli jati hai
    Ab hum baat kartey hai Punjab ke districts yani ki jilon ke baare me.

    Punjab district ko jab rajya ka darja diya gaya tha us samay raajy mein 11 jile aur keval 2 sambhaag the. Tab se, 2021 mein panjaab mein kul jile dogune se adhik ho gaye hain aur ab rajya mein 23 jile hai.

    Jyada jankari ke liye link par click kar ke padyiye

    Punjab mein kitne district hai? Aur district ke naam kya – kya hai ?

    #Puniab
    #Google
    #HindiBlog
    #PuniabMeinKitneDistrict
    #puniabMeinDistrict
    #District

Hmsay

FREE
VIEW